_*Unchi Qabr Aur Qabro Par Gumbad Banane Ka Saboot (Part- 06)*_
―――――――――――――――――――――
_*☑ Jawahirul Ikhlati me hai:*_
_*Wahual Asihho wa alaihe fatwa,*_
_*📝Tarjuma:*_
_*Yehi Sahih hai aur isi par fatwa hai. Kifaya me hai:*_
_*Aur agar Qabr par mitti daal di gayi ho to patthar aur eint rakhne me harj nahi, aise hi agar kuch likhne ki hajat ho to harj nahi, Jaisa ki Jaame Sagheer me hai ki kuch Qabr par kuch likhne aur is par alamat ke taur par patthar rakhne me harj nahi.*_
_*Khas Qubbo ke mutalliq to Imam Ibne Hajar Makki ne Nass farma di hai ki Ghari masla me Ulama aur Auliya wa Saleha ki mazarat-e-Tayyaba par Qubba banana Qurbat hai.*_
_*Imam Ibne Hajar Asqalani ne Fath-ul-Baari Sharah Bukhari me farmate hain:*_
_*Qabr par khema jab kisi nek maqsad se ho to sahi hai. Jaise ki zindo ke liye dhoop se saya karne ke liye, Na ki mayyat ke liye.*_
_*Isi me hai:*_
_*Jab Qabr par khema kisi nek maqsad se ho to durust hai, Lekin fakhr ke liye na ho.*_
_*Dono Imamo, Hazrat Ibne Hajar Asqalani aur Ibne Hajar Makki ne to un muh zoro ke muh me patthar de diya. Ye Mutbaeen Sheikh Najdi jis Illat se Qubbo aur Mazaro ke Qile Qame ke darpe hain, Ulama-e-Kiram usi Illat se unke jawaz, balki istehbab ka fatwa dete hain.*_
_*🔘 Mehbuban-e-Ilahi wa Maqbulan-e-Bargah-e-Risalat panahi se jalne wale isiliye to mana kartehain ki isme unki tazim hai. Aur Ulama unhe isiliye jaez balki qurbat kehte hain. Mulahiza ho,*_
_*Tafsir-e-Roohul Bayan me hai:*_
_*Ulama, Auliya aur Salehin ki Qabro par Qubba banana jaez hai, Jab isse awam ki Nigah me Izzat dilana maqsud ho, Taki log is qabr wale ko haqir na jaane..*_
_*Badaay Imam Malikul Ulama me hai:*_
_*Ye Namaz Janaza, Mayyat ki tazim ke liye padhi jati hai. Isiliye jiski Ehanat wajib hai.*_
_*Maslan: Baaghi, Kafir, aur Daaku ki namaz Janaza jaez nahi.*_
_*☑ Ye dushman-e-Deen-o-Eiman jo aaj is ta'zim Mehbuban-e-Khuda ki waja se inki mazarat tayyaba khode dalte hain aur unka Hadam wajib thehrate hain. Khairiat hui ki unhe ab tak ye malum hua ki Namaz-e-Janaza me bhi Tazimiyat hai. Aur wo isiliye mashroo hui hai, isi waste Kafir wa Baaghi wa Qitaa-ul-Tariq, jinki ehanat lazim hai, unke Janaze ki namaz nahi hoti, agar us taraf unhone tawajjo ki to ye farz-e-Kifaya, Namaz-e-Janaza ko bhi shirk, Haram keh denge.*_
_*Allah Ta'ala hum Musalmano ko har fitne se mehfuz rakhe, Aameen.*_
_*📮Post Ended.....*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
No comments:
Post a Comment