Showing posts with label पेशाब (इसतिंजा) का बयान. Show all posts
Showing posts with label पेशाब (इसतिंजा) का बयान. Show all posts

Thursday, October 18, 2018



             _*"खड़े होकर पेशाब करना"*_
―――――――――――――――――――――

_*हदीस- उम्मुल मुमिनीन सिद्दीक़ा रज़ि अल्लाहु तआला अन्हा फरमाती हैं कि जो तुम से कहे कि हुज़ूरे अक़्दस सल्लल्लाहु तआला अलैहि व सल्लम खड़े होकर पेशाब फरमाते उसे सच्चा न जानना, हुज़ूर पेशाब न फरमाते थे मगर बैठ कर !*_

_*📕 तिर्मिज़ी शरीफ़*_

_*✒हदीस- अमीरूल मुमिनीन फ़ारूक़े आज़म रज़ि अल्लाहु तआला अन्हू रिवायत करते है, रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु तआला अलैहि व सल्लम ने मुझे खड़े होकर पेशाब करते देखा फरमाया- ऐ उमर! खड़े होकर पेशाब न करो, उस दिन से मैंने कभी खड़े हो कर पेशाब न किया !*_

_*📕 बैह़की शरीफ*_

_*✒हदीस- रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु तआला अलैहे व सल्लम ने खड़े हो पेशाब करने से मना फरमाया !*_

_*📕 इब्ने माजा*_

_*✒हदीस- तीन बातें जफा व बेअदबी से हैं !*_

_*1- यह की आदमी खड़े हो कर पेशाब करे !*_
_*2- यह कि नमाज़ में अपनी पेशानी से(मिट्टी या पसीना) पोंछे !*_
_*3- यह कि सज्दा करते वक़्त फूंके !*_

_*📕 मुसनद बज़्ज़ार*_

_*👆🏼इन अहादीस से मालूम हुआ की खड़े होकर पेशाब करना इलशादाते रसूल की खिलाफ़ वर्ज़ी और हुक्मे शरअ से मुंह मोड़ना है !*_

_*📕 फतावा रज़्वीया, जिल्द 2, सफ़ा 146-147*_

_*"पेशाब के छींटे" 💦*_

_*📌कौम-ए-बनीइसराईल में पेशाब के अह़काम बड़े सख़्त थे ! उस कौम में अगर जिस्म के किसी हिस्से पर पेशाब के छींटे लगते तो जिस्म की उतनी चमड़ी काट कर निकाल दी जाती थी !*_

_*☝🏼अल्लाहु अकबर...*_

_*✒हदीस शरीफ़ में है कि क़ब्र में अक्सर अज़ाब पेशाब के छींटों से नही बचने के कारण होता है !*_

_*✍🏻...वो भाई बहन इस मसाइल से इबरत ले जो इस्तिंजा खाने में और दीग़र मकामात मे पेशाब के छींटों से नही बचते ! खासकर हमारे नौजवान जो बड़े ही चुस्त कपड़े पहनते है और इस्तिंजा के वक़्त खड़े-खड़े फारिग हो जाते है...!*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━


_*💦Peshab Ke Chinte Or Azab-E-Qabr*_
―――――――――――――――――――――

_*🔘 Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Sayyeduna Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Se Marwi Hai Ki Sarkar-E-Do-Aalam, Noor-E-Mujassam, Shaahe Bani Aadam, Rasool-E-Mohtasham صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Do (2) Qabron Ke Paas Se Guzrey Aur Gaib Ki Khabar Dete Hue Farmaya*_
_*Yeh Dono Qabr Wale Azaab Diye Jaa Rahe Hain Aur Kisi Badi Cheez Me Azaab Nahi Diye Jaa Rahe (Jis Se Bachna Dushwar Ho). Balki Ek Toh Peshaab Ke Cheehton Se Nahi Bachta Tha Aur Doosra Chugal Khori Kiya Karta Tha Phir Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Khajoor Ki Taaza Tahni Mangwayi Aur Usey Aadho Aadh Cheera Aur Har Ek Ki Qabr Par Ek Hissa Gaad Diya Aur Farmaya  Jab Tak Yeh Khushk Na Ho Tab Tak In Dono Ke Azaab Me Takhfeef Hogi.*_

_*"Qabr Per Phool Daalna Yahanse Saabit Hota Hai"*_

_*✅ Agar Qabr Per Phool Daalna Shirk Hota, Toh Rasoole Kamaal صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ye Amal Hargiz Na Karte..*_

_*📕 Sahih Bukhari  Hadees 6055*_
_Book Ref.  78, Hadees 85_
_Eng Ref.  Vol. 8, Book 73, Hadees 81_
_*📕 Sahih Bukhari  Hadees 218*_
_Book Ref.  4, Hadees 84_
_Eng Ref.  Vol. 1, Book 4, Hadees 217_
_*📕 Sunan Abu Dawud  Hadees 20*_
_Book Ref. 1, Hadees 20_
_Eng Ref.  Book 1, Hadees 20_
_*📕 Jamia Al Tirmizi  Hadees 70*_
_Book Ref.  1, Hadees  70_
_Eng Ref.  Vol. 1, Book 1, Hadees 70_
_*📕 Istinja Ka Tareeqa (Hindi) Maktabatul Madina Hind, Safha 2*_

_*ALLAH Ta'ala Aap Par Fazl Farmaye.!*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━


_*Istinja/ Taharat Khana/Baitul Khala Ke Aadab Hadees Ki Roshni Me*_
―――――――――――――――――――――

*ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ*
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ*
*اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،*

_*Hammam Me Peshaab Karna*_

_*Sarkar-E-Madina صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya -*_

_*Koi Gusl Khane Me Peshaab Na Karey, Phir Us Me Nahaye Ya Wuzu Kare Ki Aksar Waswasey Is Se Hotey Hain.*_

_*💫 Mufassire Shaheer Haqeemul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan رحمة الله تعالي عليه Is Hadees-E-PaakKe Tehet Farmate Hain*_

_*Agar Gusl Khane Ki Zameen Pukhta Ho Aur Us Me Paani Kharij Hone Ki Naali Ho Toh Wahan Peshaab Karne Me Harj Nahi Agarchey Behtar Hai Ki Na Karey. Lekin Agar Zameen Kachchi Ho Aur Pani Nikalne Ka Rasta Bhi Na Ho Toh Peshaab Karna Sakht Bura Hai Ki Zameen Najis Ho Jayegi Aur Gusl Ya Wuzu Me Ganda Pani Jism Par Padega. Yahan Doosri Surat Hi Muraad Hai Isliye Taqeedi Mumana'at Ataa Farmayi Gayi. Yani Is Se Waswasey Aur Wehem Ki Beemari Paida Hoti Hai Jaisa Tajriba Hai Ya Gandi Cheehtein Padne Ka Waswasa Rahega.*_

_*📕 Sunan Abu Dawud  Jild 1, Safha  44 , Hadees 27*_
_Mira'at  Jild 1, 6266_
_*📕 Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha  7-8*_

_*⭕Istinja Khaane Me Jinnaat Aur Shayateen Rehte Hain. Agar Jaane Se pehle Bismillah Padh Li Jaaye Toh Is Ki Barakat Se Woh Sitr Dekh Nahi Saktey.*_

_*❣Hadees-E-Mubarak Me Hai*_

_*Jinn Ki Aankhon Aur Logo Ke Sitr Ke Darmiyan Parda Yeh Hai Ki Jab Pakhaane Ko Jaayein Toh Bismillah Keh Lein.*_

_*Yani Jaise Deewar Aur Pardey Logo Ki Nigaah Ke Liye Aad Bantey Hain Aise Hi Yeh Allahعزوجل Ka Zikr Jinnaat Ki Nigahon Se Aad Banega Ki Jinnaat Us Ko Dekh Na Sakenge.*_

_*💫 Humein Hamesha Yaad Rakh Kar Istinja Khane Me Dakhil Hone Se Pehle Bismillah Pad Lena Chahiye Balki Behtar Hai Ki Yeh Dua Padh Li Jaaye.*_

_*Awwal Wa Aakhir Durood Shareef*_

*بِسْمِ اللهِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ*

_*📝Tarzuma : Allah Ke Naam Se Shuru,*_

_*☝🏻☝🏻Ya Allah ! Mein Na-Pak Jinno (Nar Wa Maada) Se teri Panaah Mangta Hoon.*_

_*📕 Sunan Tirimizi  Jild 2 , Safha  113 , Hadees  606*_
_*📕 Miraat ul Manajih  Jild1, Safha 268*_
_Kitab ul Dua Al Tabarani  Hadees  357, Safha  132_
_Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha 2-3_

_*Jinnat Ka Rizq Haddi, Gobar Aur Koyla Hai.*_

_*Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Bin Mas'ud رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Kareem  صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ki Khidmat-E-Aqdas Me Jinnaat Ka Ek Wafd (Group) Hazir Ho Kar Arz Guzar Hua.*_

_*Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم!  "Aap Ki Ummat Haddi, Gobar Aur Koyle Se Istinja Na Karey Kyunki Allah Ta'ala Ne Isme Hamara Rizq Muqarrar Farma Diya Hai Toh Nabi-E-Kareem  صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne (Ummat) Ko Is Se (Istinja Karna) Man'a Farma Diya"*_

_*📕 Sunan Abi Dawud  Hadees 39*_
_Book Ref. 1, Hadees 39_
_Eng Ref. Book 1, Hadees 39_
_*📕 Jamia Tirmizi  Hadees 18*_
_Book Ref.  1, Hadees 18_
_Eng Ref. Vol. 1, Book 1, Hadees 18_

_*Bil (Holl) Me Peshaab Karna*_

_*Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Rehmat Wale Aaqa, Makki Madani Mustafa Ka Farmaney Shafqat Nishan Hai*_

_*''Tum Me Se Koi Shakhs Suraakh Me Peshaab Na Kare''.*_

_*🔖Jinn Ne Shaheed Kar Diya*_

_*Mufassire Shaheer Haqeemul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan رحمة الله تعالي عليه Farmate Hain*_

_*Juhoor Se Muraad Zameen Ka Suraakh Hai Ya Deewar Ki Fatan (Yani Darar), Chunki Aksar Suraakhon Me Zehriley Jaanwar Ya Chyunti Wagairah Kamzor Jaanwar Ya Jinnaat Rehte Hain. Chyunti Peshaab Ya Paani Se Takleef Payegi Ya Saanp Wa Jinn Nikal Kar Humein Takleef Denge. Isliye Wahan Peshaab Karna Mana Farmaya Gaya. Chunanchey Hazrate Sayyeduna Saad Ibne Ubada Ansari رضي الله تعالٰی عنه  Ki Wafaat Isi Se Hui Ki Aap  Ne Ek Suraakh Me Peshaab Kiya, Jinn Ne Nikal Kar Aap Ko Shaheed Kar Diya. Logo Ne Us Suraakh Se Yeh Aawaz Suni*_

_*Hum Ne Qabila Khazraj Ke Sardar Saad Bin Ubada  رضي الله تعالٰی عنه  Ko Shaheed Kar Diya Aur Hum Ne (Aisa) Teer Mara Jo Un Ke Dil Se Aar Paar Ho Gaya.*_

_*Allahعزوجل Ki Un Par Rehmat Ho Aur Un Ke Sadqey Hamari Maghfirat Ho.*_

_*📕 Sunan Nasai  Safha 14, Hadees  34*_
_(Miraat  Jild 1, Safha 268 Mirqaat  Jild 2, Safha 72 Wa Ashiyat ul Ma'aat  Jild 1 , Safha 220_

_*📕 Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha  6-7*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━

Al Waziftul Karima 👇🏻👇🏻👇🏻 https://drive.google.com/file/d/1NeA-5FJcBIAjXdTqQB143zIWBbiNDy_e/view?usp=drivesdk 100 Waliye ke wazai...