Showing posts with label सफाअ्त ए अम्बिया. Show all posts
Showing posts with label सफाअ्त ए अम्बिया. Show all posts

Friday, October 12, 2018



_*Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma*_
                          _*Part~ 01*_
―――――――――――――――――――――

_*📚 Hadees No. 01*_

_*Hazrate Jaabir Ibne Abdullah Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne irshad Farmaya Ki Har Nabi Ko Ek Maqbool Dua Mangne Ka Haq Diya Gaya Jo Unhone Apni Ummat Ke Liye Maang Li Aur Maine Apni Is Makhsoos Dua Ko Baroze Qayamat Apni Ummat Ki shafa'at Ke Liye Bacha Rakha Hai*_

_*📕 Muslim, Jild 1, Safa 112*_

_*📚 Hadees No. 02*_

_*Sayyedna Usmane Gani (Radiallahu Ta'ala Anhu) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne irshad Farmaya Baroze Qayamat 3 Qism Ke Log Shafa'at Farmayenge Pehle Ambiya Fir Olma Fir Shohada*_

_*📕 Ibne Maaja Zikre Shafa'at, Safa 330*_
_*📕 Mishkat, Safa 494*_

_*📚 Hadees No. 03*_

_*Hazrate Imran Ibne Haseen (Radiallahu Ta'ala Anhu) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah ﷺ Ne irshad Farmaya Ki Meri Shafa'at Se Kuch Log Jahannam Se Nikaale Jayenge Aur Jannat Mein Dakhil Honge Aur Jannat Mein Inka Naam Jahannam Wale Hoga (Yani Jahannam Se Aane Wale)*_

_*📕 Bukhari, Jild 2, Safa 971*_

_*✅ Yaani Log Jahannam Mein Dakhil Ho Jayenge Iske Baad Bhi Shafa'at Jaari Rahegi Yahan Tak Ke Aap ﷺ Ki Shafa'at  Se Jo Log Jahannam Mein Jaa Chuke Honge Wo Waha Se Nikal Kar Jannat Mein Laaye Jayenge*_

_*Hisaab Ka Din Kathin To Hoga Magar Hume Unka Aasara Hain*_
_*Wo Aa Hi Jayenge Bakshwane Shafa'at  Unko Ataa Hui Hain*_

_*📮To Be Continue.....*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━


_*Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma*_
                          _*Part~ 02*_
―――――――――――――――――――――

_*📚 Hadees No. 4*_

_*Qayamat Ke Din Khuda E Ta'ala Farmayega Aur Ambiya Wa Momineen Shafa'at Kar Chuke Sirf Ar-Rahmur Rahimeen Baaqi Raha Fir Apne Daste Qudrat Ki Ek Mutthi Bhar Jahannam Se Logo Ko Nikalega*_

_*📕 Muslim, Jild 1, Safa 103*_
_*📕 Mishkat, Safa Babul Houze Wash-Shafa'at, Safa  490*_

_*📚 Hadees No. 05*_

_*Hazrate Abdullah Ibne Umar Bin Aas Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Apne Mubarak Hatho Ko Uthaya Aur Arz Kiya Aye Allah Meri Ummat Meri Ummat Aur Aap (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Rone Lage To Allah Ta'ala Ne Hazrate Jibraeel (Alayhis Salam) Ko Huqm Diya Mehboob Ke Paas Jao To Wo Huzoor ﷺ ki Khidmat Mein Haazir Hue Aur Pucha Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Rone Ka Sabab Bataya Aur Parwar Digaar Sab Kuch Jaanta Hai Allah Ta'ala Ne Hazrate Jibraeel (Alayhis Salam) Se Farmaya Jao Aur Mehboob Se Keh Do Aap Ki Ummat Ke Mamle Mein Aap Ko Raazi Aur Khush Kar denge aur Aap Ko Gamgeen Nahi Hone Denge.!*_

_*📕 Muslim, Jild 1, Baab Dua Un Nabi ﷺ Li Ummatihi, Safa 113*_

_*Fiqre Ummat Mein Raato Ko Rote Rahe*_
_*Aasiyoñ Ke Gunaho Ko Dhote Rahe*_

_*Tum Par Qurbaan Jaañ Aye Mere Mehjabeen*_
_*Tum Par Har Dum Karodo Duroodo Salaam*_

_*📮To Be Continue.....*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━


_*Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma*_
                          _*Part~ 03*_
―――――――――――――――――――――

_*📚 Hadees No. 06*_

_*Hazrate Abdullah Bin Abijada'a (Radiallahu Ta'ala Anhu) Se Marvi Hai Ki Maine Rasoolullah (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ko Farmate Hue Suna Ki Meri Ummat Ke Ek Shaksh Ki Shafa'at Se Itne Log Jannat Mein Daakhil Honge Jinki Taadad Qabeela Bani Tameem Ke Logo Se Bhi Zyada Hogi*_

_*📕 Tirmizi, Jild 2, Safa 67*_
_*📕 Mishkat, Safa 494*_

_*📚 Hadees No. 07*_

_*Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne irshad Farmaya Meri Ummat Ke Kuch Log Kai Giroh Ki Shafa'at Karenge Aur Kuch Kisi Khandan Ki Aur Kuch Kisi Ek Shaks Ki Shafa'at Karenge Yahan Tak Ke Log Inki Shafa'at Se Jannat Mein Dakhil Ho Jayenge*_

_*📕 Tirmizi, Jild 2, Safa 67*_

_*✍🏻 Saabit Hua Ki Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ki Ummat Ke Aap Ke Aise Gulam Bhi Honge Jinki Shafa'at  Se Allah Ta'ala Bahot Saare Logo Ko Jannat Ataa Farmayega Aur Inme Olma Aur Shahidaane Islam Ka Khaas Muqaam Hoga*_

_*✅ Mere Huzoor Tajush'Shariah, Mufti Muhammad Akhter Raza Khan Qadri Razvi*_
_Janasheene Huzoor Mufti E Azam E Hind (Radiallahu Ta'ala Anhu)_
_*Ke Sadke Jannat Ata Karde*_

_*📮Topic Over.....*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━

Al Waziftul Karima 👇🏻👇🏻👇🏻 https://drive.google.com/file/d/1NeA-5FJcBIAjXdTqQB143zIWBbiNDy_e/view?usp=drivesdk 100 Waliye ke wazai...