Saturday, November 3, 2018



_*Unchi Qabr Aur Qabro Par Gumbad Banane Ka Saboot (Part- 04)*_
―――――――――――――――――――――

_*🔘 Ambiya wa Salehin ki Qabro ki tarafa'zim wa tabarruk ke irade se Namaz padhna haram hai,*_

_*Aur Ulama me se kisi ko isme khilaf nahi, lekin agar unki Qabr ke nazdik agar Namaz ke liye koi Masjid banai jaye, Bagair is niyat ke ki Namaz me un Qabro ki taraf muh kiya jaye, isliye ki wo jaga jo unke Jisd mutahair ka madfan hain. Uski Barkat se aur unki Ruhaniyat wa Nooraniyat ki Imdad se hamari Ibadat kamil aur Maqbool ho. To Isme Koi Harj aur koi muzaiqa nahi.*_

_*📕 Madarijun Nabuwwa, 2/4474*_

_*📌In Riwayaat se malum hua ki Muftiyan-e-Jidat taraz ne jo matlab Ahadees se nikalna chaha, wo Sahi nahi, aur Unhe us Hadees se istedlal nahi pahuchta.*_

_*🔖 Ek Aitraaz Wali Hadees  me, Jisme Hazrat, Ali Radiallahu Anhu ki us Riwayat ka bayan kiya gaya hai ki Huzur (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) ne mujhe hukm diya ki me jo Tawsir paaun, unhe mahu kar du aur jo Qabr bulan paaun, usko barabar kar du.*_

_*👉🏻 Is Hadees se dalil dene se pehle Wahabi Mufti par lazim hai ki wo pehle sabit karte ki wo Qabr musalman ki thi jinhe todne ka hukm diya tha?*_

_*☑ Dusra ye ki Barabar karne se kya murad hai? Aaya bilkul zamin se hamwaar kar dena ki nishan bhi na rahe, to ye Sunnat-e-Mutawatirsa ke khilaf hai..*_

_*Teesra ye ki Taswiro ka zikr Qabr ke sath kya talluq se hai? Jab in maslo ko wazeh karte, Tab un Wahabiyo ko is Hadees ki Dalil dene ki gunjaish thi..*_

_*📌Ab mai kuch Bil-Ikhtisar arz karu?*_

_*Ye baat to har Momin ke liye yaqini hai ki Rasoolullah ke zamane me jo bhi Qabrein bani, wo Huzur alaihesalam ke Ilm aur Ijazat se, ki Huzur ki Aada sharif thi ki Dafn me shirkat karte the.*_

_*💫Aur apne Niyaz mando ko apni shirkat se mehroom nahi farmate the. To jis Qadar Quboor Zamana-e-Aqdas me bani, Sahaba ne banai, Huzur ki maujudgi me banai, aur agar Maujudgi na bhi hoti to Sahaba koi bagair puche kab karte the?*_

_*Wo kaunse Musalmano ki Qabrein thi jo na-jaez taur par unchi ban gayi thi aur fir unko mitane ka hukm diya?? Ye baat bilkul Aql se bahar hai,*_

_*Albatta kuffar ki Qabrein bahot bahot unchi banayi jati thi.*_

_*Jaisa ki ab bhi Nasara ki Qabren dekhi jati hain. Huzur ne unhi ho Dhahane ka hukm diya,*_

_*✅ Kama Fis Sihah, Aur Kuffar ki Qabr Dhahana jaez bhi hai. Musalmano ki qabr dhahana tauheen hai.*_

_*📌Bukhari Sharif me hai:*_

_*📚 HADEES:*_

_*Huzur ne Mushrekin ki Qabro ke liye hukm farmaya, Wo Ukhad di gayin,..*_

_*📕 Fath-ul-Baari Sharah Bukhari, Kitabus Salaat, 2/273*_

_*Ye kahan se kaha jata hai ki Hazrat Ali Radiallahu Anhu ko musalmano ki Qabr ukhadne ka hukm diya gaya tha?*_

_*Ya fir Mushrekin ka hukm Musalmano par chaspan karte hain ye Wahabi.*_

_*Isi Liye Ibne Umar RadiAllah Anhu Farmate Hai:*_

_*Badtarin Khawarji Hai Wo Log Jo Kuffar Aur Mushrikin Ke Radd Me Utarne Wali Ayat Ko Musalmano Par Thopte Hai..*_

_*📕 Sahih Bukhari Volume 9 Page 49-50 Chapter Khawarjis And Mulhidins*_

_📌TO ASLI KHARJI KOUN HAI ISKA ANDAZA AAP LAGA SAKTE HAI....._

_*📮To Be Continue.....*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━

No comments:

Post a Comment

Al Waziftul Karima 👇🏻👇🏻👇🏻 https://drive.google.com/file/d/1NeA-5FJcBIAjXdTqQB143zIWBbiNDy_e/view?usp=drivesdk 100 Waliye ke wazai...