_*Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma*_
_*Part~ 03*_
―――――――――――――――――――――
_*📚 Hadees No. 06*_
_*Hazrate Abdullah Bin Abijada'a (Radiallahu Ta'ala Anhu) Se Marvi Hai Ki Maine Rasoolullah (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ko Farmate Hue Suna Ki Meri Ummat Ke Ek Shaksh Ki Shafa'at Se Itne Log Jannat Mein Daakhil Honge Jinki Taadad Qabeela Bani Tameem Ke Logo Se Bhi Zyada Hogi*_
_*📕 Tirmizi, Jild 2, Safa 67*_
_*📕 Mishkat, Safa 494*_
_*📚 Hadees No. 07*_
_*Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne irshad Farmaya Meri Ummat Ke Kuch Log Kai Giroh Ki Shafa'at Karenge Aur Kuch Kisi Khandan Ki Aur Kuch Kisi Ek Shaks Ki Shafa'at Karenge Yahan Tak Ke Log Inki Shafa'at Se Jannat Mein Dakhil Ho Jayenge*_
_*📕 Tirmizi, Jild 2, Safa 67*_
_*✍🏻 Saabit Hua Ki Huzoor (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ki Ummat Ke Aap Ke Aise Gulam Bhi Honge Jinki Shafa'at Se Allah Ta'ala Bahot Saare Logo Ko Jannat Ataa Farmayega Aur Inme Olma Aur Shahidaane Islam Ka Khaas Muqaam Hoga*_
_*✅ Mere Huzoor Tajush'Shariah, Mufti Muhammad Akhter Raza Khan Qadri Razvi*_
_Janasheene Huzoor Mufti E Azam E Hind (Radiallahu Ta'ala Anhu)_
_*Ke Sadke Jannat Ata Karde*_
_*📮Topic Over.....*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
No comments:
Post a Comment