_*Jummah - Khutbe Ke Masail*_
―――――――――――――――――――――
_*🔘 Khatib Ki Taraf Munh Karke Baithna Sunnat-E-Sahaba Hai..!*_
_*💡Buzurgan-E-Deen Farmate Hai : " Do Janu Baithkar Khutba Sune, Pehle Khutbe Me Hanth Bandhe, Dusre Me Janu Par Hanth Rakhe To In Sha Allah Ta'ala 2 Rakat Ka Sawab Milega!"*_
_*📕 Mir'atul Manajih, Jild-2, Safa-338*_
_*Aala Hazrat Rahmatullah Alaih Farmate Hai👇🏻*_
_*"Khutbe Me Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Naame Paak Sunkar Dil Me Durud-E-Paak Padhe Ki Zaban Se Sukut (Yani Khamosh Rahna) Farz Hai..!*_
_*📕 Fatwa Razwiyya Mukhrraza, Jild-8, Safa-365,*_
_*Aala Hazrat Rahmatullah Alaih Farmate Hai👇🏻*_
_*"Khutbe Ki Halat Me Chalna Haram Hai,*_
_*Aulam-E-Kiram Yaha Tak Farmate Hai Ki Agar Aise Waqt Aaya Ki Khutba Shuru Ho Gaya To Masjid Me Jahan Tak Pahuncha Wahi Ruk Jaye, Aage Na Badhe Ki Ye Amal Hoga Aur Halate Khutba Me Koi Amal Jayez Nahi..!*_
_*📕 Fatwa Razwiyya Mukhrraza, Jild-8, Safa-333*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
No comments:
Post a Comment