_*Islam Me Gana (Music) Sunna Kaisa..*_
―――――――――――――――――――――
_*🔘 Islam Me Music Sunna Na'Jaiz O Haram W Sakht Azab Hai.*_
_*Quran-E-Paak Main ALLAH Ta'ala Farmata Hai:- "Aur Kuch Loog Khel Ki Baate Khareedte Hain Ke ALLAH Ki Rah Se Behka Dein Be Samjhe Aur Esse Hassi Bana Lein, Un Ke Liye Zillat Ka Azaab Hai".*_
_*📕 Sura Luqman, Ayat 6*_
_*Tafseer:- Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas (Radiallahu Ta'ala Anhu) Ne Is Ayat Ki Tafseer Yeh Fermai Ke Es Sey Muraad Aalat-E-Moseeqi Hain.*_
_*Aik Aur Jaga Irshad Hua: "Aur Behka Dey In Main Sey Jis Per Qudrat Paey Apni Awaz Sey".*_
_*📕 Sura Bani Israeil, Ayat 64*_
_*Hazrat Syedna Mujahid (Radiallahu Ta'ala Anhu) Ne Iski Tafseer Gaaney Baajon Ke Sath Ki.*_
_*Ahadees Sharif:*_
_*AAQA Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Fermaya:- "ALLAH Ta'ala Tanbura, Saaringi, Aur Dugdugi Bajany Waly Ke illawa Har Gunahgar Ko Muaaf Ferma Deta Hai".*_
_*📕 Alnihayat Fi-Ghareeb, V 3, Page 196*_
_*AAQA Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ka Ferman Hai:- "Meri Ummat Akhri Waqt Main Aisi Cheezon Ko Apna Ley Gi Jo In Per HARAM Hain, Jin Main Mard Ka Soona Pehenana, Zina Aur Aalat-E-Moseeqi (Music) Shamil Hain".*_
_*📕 Sahi Bukhari, Hadees:5590*_
_*AAQA Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Fermaya:- "Jo Gaana Baaja Sunta Hai, ALLAH Ta'ala Qayamat Ke Din Es K Kaano Main Pighla Hua Sheesha Daaley Ga".*_
_*📕 Kanzul Aamal, V 5, Page 234*_
_*Bukari Shareef Ki Hadish Me He Ki Rasool'Allah (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmay Ki Zaroor Meri Ummat Me Aise Log Hone Wale Hai Jo Zina, Reshmi Kapde, Sharab Or Bazo'n Tasho'n Ko Halal Thahrayenge.*_
_*📕 Bukhari Sharif, Jild 2, Kitabul ASHRIBAH, Safa 837*_
_*Huzur Nabi-E-Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Qayamat Ki Nishaniya Bayan Karte Hue Farmaya Ki Qayamat Ke Qareeb Nachne Gane Waaliyo'n Or Baje Tasho'n Ki Kasrat Ho Jayengi.*_
_*📕 Tirmizi Sharif*_
_*📕 Mishkat Sharif, Baab ASHRATUS - Sa'ah, Safa 470*_
_*AQA Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Fermaya:- "Mujhy Dhool Aur Bansari Torney Ka Hukm Dia Gaya Hai."*_
_*📕 Firdoos Al-Akhbaar, Hadees 483*_
_*AAQA Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:- Jo Shaks Gana Suney Ga Tou Qayamat Ke Din Es Ke Kaano Main Pighla Hua Seesa Daala Jai Ga."*_
_*📕 Kanzul Aamal, Hadees 40226*_
_*AAQA Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Fermaya:- "2 Awaazon Per Duniya Aur Akhrat Main Lannat Hai,*_
_*1) Neimat Ke Waqt Bajaa*_
_*2) Museebat Ke Waqt Chilana."*_
_*📕 Kanzul Aamal, Hadees:40654*_
_*AAQA Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:- "Gaana Dil Main Nafaq Es Tarah Ugata Hai Jeisey Sabzey Ko Paani."*_
_*📕 Firdoos Al-Akhbaar, Hadees 4204*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
No comments:
Post a Comment