Thursday, October 18, 2018



_*Istinja/ Taharat Khana/Baitul Khala Ke Aadab Hadees Ki Roshni Me*_
―――――――――――――――――――――

*ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ*
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ*
*اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،*

_*Hammam Me Peshaab Karna*_

_*Sarkar-E-Madina صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya -*_

_*Koi Gusl Khane Me Peshaab Na Karey, Phir Us Me Nahaye Ya Wuzu Kare Ki Aksar Waswasey Is Se Hotey Hain.*_

_*💫 Mufassire Shaheer Haqeemul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan رحمة الله تعالي عليه Is Hadees-E-PaakKe Tehet Farmate Hain*_

_*Agar Gusl Khane Ki Zameen Pukhta Ho Aur Us Me Paani Kharij Hone Ki Naali Ho Toh Wahan Peshaab Karne Me Harj Nahi Agarchey Behtar Hai Ki Na Karey. Lekin Agar Zameen Kachchi Ho Aur Pani Nikalne Ka Rasta Bhi Na Ho Toh Peshaab Karna Sakht Bura Hai Ki Zameen Najis Ho Jayegi Aur Gusl Ya Wuzu Me Ganda Pani Jism Par Padega. Yahan Doosri Surat Hi Muraad Hai Isliye Taqeedi Mumana'at Ataa Farmayi Gayi. Yani Is Se Waswasey Aur Wehem Ki Beemari Paida Hoti Hai Jaisa Tajriba Hai Ya Gandi Cheehtein Padne Ka Waswasa Rahega.*_

_*📕 Sunan Abu Dawud  Jild 1, Safha  44 , Hadees 27*_
_Mira'at  Jild 1, 6266_
_*📕 Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha  7-8*_

_*⭕Istinja Khaane Me Jinnaat Aur Shayateen Rehte Hain. Agar Jaane Se pehle Bismillah Padh Li Jaaye Toh Is Ki Barakat Se Woh Sitr Dekh Nahi Saktey.*_

_*❣Hadees-E-Mubarak Me Hai*_

_*Jinn Ki Aankhon Aur Logo Ke Sitr Ke Darmiyan Parda Yeh Hai Ki Jab Pakhaane Ko Jaayein Toh Bismillah Keh Lein.*_

_*Yani Jaise Deewar Aur Pardey Logo Ki Nigaah Ke Liye Aad Bantey Hain Aise Hi Yeh Allahعزوجل Ka Zikr Jinnaat Ki Nigahon Se Aad Banega Ki Jinnaat Us Ko Dekh Na Sakenge.*_

_*💫 Humein Hamesha Yaad Rakh Kar Istinja Khane Me Dakhil Hone Se Pehle Bismillah Pad Lena Chahiye Balki Behtar Hai Ki Yeh Dua Padh Li Jaaye.*_

_*Awwal Wa Aakhir Durood Shareef*_

*بِسْمِ اللهِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ*

_*📝Tarzuma : Allah Ke Naam Se Shuru,*_

_*☝🏻☝🏻Ya Allah ! Mein Na-Pak Jinno (Nar Wa Maada) Se teri Panaah Mangta Hoon.*_

_*📕 Sunan Tirimizi  Jild 2 , Safha  113 , Hadees  606*_
_*📕 Miraat ul Manajih  Jild1, Safha 268*_
_Kitab ul Dua Al Tabarani  Hadees  357, Safha  132_
_Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha 2-3_

_*Jinnat Ka Rizq Haddi, Gobar Aur Koyla Hai.*_

_*Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Bin Mas'ud رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Kareem  صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ki Khidmat-E-Aqdas Me Jinnaat Ka Ek Wafd (Group) Hazir Ho Kar Arz Guzar Hua.*_

_*Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم!  "Aap Ki Ummat Haddi, Gobar Aur Koyle Se Istinja Na Karey Kyunki Allah Ta'ala Ne Isme Hamara Rizq Muqarrar Farma Diya Hai Toh Nabi-E-Kareem  صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne (Ummat) Ko Is Se (Istinja Karna) Man'a Farma Diya"*_

_*📕 Sunan Abi Dawud  Hadees 39*_
_Book Ref. 1, Hadees 39_
_Eng Ref. Book 1, Hadees 39_
_*📕 Jamia Tirmizi  Hadees 18*_
_Book Ref.  1, Hadees 18_
_Eng Ref. Vol. 1, Book 1, Hadees 18_

_*Bil (Holl) Me Peshaab Karna*_

_*Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Rehmat Wale Aaqa, Makki Madani Mustafa Ka Farmaney Shafqat Nishan Hai*_

_*''Tum Me Se Koi Shakhs Suraakh Me Peshaab Na Kare''.*_

_*🔖Jinn Ne Shaheed Kar Diya*_

_*Mufassire Shaheer Haqeemul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan رحمة الله تعالي عليه Farmate Hain*_

_*Juhoor Se Muraad Zameen Ka Suraakh Hai Ya Deewar Ki Fatan (Yani Darar), Chunki Aksar Suraakhon Me Zehriley Jaanwar Ya Chyunti Wagairah Kamzor Jaanwar Ya Jinnaat Rehte Hain. Chyunti Peshaab Ya Paani Se Takleef Payegi Ya Saanp Wa Jinn Nikal Kar Humein Takleef Denge. Isliye Wahan Peshaab Karna Mana Farmaya Gaya. Chunanchey Hazrate Sayyeduna Saad Ibne Ubada Ansari رضي الله تعالٰی عنه  Ki Wafaat Isi Se Hui Ki Aap  Ne Ek Suraakh Me Peshaab Kiya, Jinn Ne Nikal Kar Aap Ko Shaheed Kar Diya. Logo Ne Us Suraakh Se Yeh Aawaz Suni*_

_*Hum Ne Qabila Khazraj Ke Sardar Saad Bin Ubada  رضي الله تعالٰی عنه  Ko Shaheed Kar Diya Aur Hum Ne (Aisa) Teer Mara Jo Un Ke Dil Se Aar Paar Ho Gaya.*_

_*Allahعزوجل Ki Un Par Rehmat Ho Aur Un Ke Sadqey Hamari Maghfirat Ho.*_

_*📕 Sunan Nasai  Safha 14, Hadees  34*_
_(Miraat  Jild 1, Safha 268 Mirqaat  Jild 2, Safha 72 Wa Ashiyat ul Ma'aat  Jild 1 , Safha 220_

_*📕 Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha  6-7*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━

No comments:

Post a Comment

Al Waziftul Karima 👇🏻👇🏻👇🏻 https://drive.google.com/file/d/1NeA-5FJcBIAjXdTqQB143zIWBbiNDy_e/view?usp=drivesdk 100 Waliye ke wazai...