_*ЁЯТжPeshab Ke Chinte Or Azab-E-Qabr*_
―――――――――――――――――――――
_*ЁЯФШ Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Sayyeduna Ibne Abbas ╪▒╪╢┘К ╪з┘Д┘Д┘З ╪к╪╣╪з┘Дٰ█М ╪╣┘Ж┘З Se Marwi Hai Ki Sarkar-E-Do-Aalam, Noor-E-Mujassam, Shaahe Bani Aadam, Rasool-E-Mohtasham ╪╡┘Д█М ╪з┘Д┘Д█Б ╪к╪╣╪з┘Дٰ█М ╪╣┘Д█М█Б ┘И╪з┘Д█Б ┘И╪│┘Д┘Е Do (2) Qabron Ke Paas Se Guzrey Aur Gaib Ki Khabar Dete Hue Farmaya*_
_*Yeh Dono Qabr Wale Azaab Diye Jaa Rahe Hain Aur Kisi Badi Cheez Me Azaab Nahi Diye Jaa Rahe (Jis Se Bachna Dushwar Ho). Balki Ek Toh Peshaab Ke Cheehton Se Nahi Bachta Tha Aur Doosra Chugal Khori Kiya Karta Tha Phir Aap ╪╡┘Д█М ╪з┘Д┘Д█Б ╪к╪╣╪з┘Дٰ█М ╪╣┘Д█М█Б ┘И╪з┘Д█Б ┘И╪│┘Д┘Е Ne Khajoor Ki Taaza Tahni Mangwayi Aur Usey Aadho Aadh Cheera Aur Har Ek Ki Qabr Par Ek Hissa Gaad Diya Aur Farmaya Jab Tak Yeh Khushk Na Ho Tab Tak In Dono Ke Azaab Me Takhfeef Hogi.*_
_*"Qabr Per Phool Daalna Yahanse Saabit Hota Hai"*_
_*✅ Agar Qabr Per Phool Daalna Shirk Hota, Toh Rasoole Kamaal ╪╡┘Д█М ╪з┘Д┘Д█Б ╪к╪╣╪з┘Дٰ█М ╪╣┘Д█М█Б ┘И╪з┘Д█Б ┘И╪│┘Д┘Е Ye Amal Hargiz Na Karte..*_
_*ЁЯУХ Sahih Bukhari Hadees 6055*_
_Book Ref. 78, Hadees 85_
_Eng Ref. Vol. 8, Book 73, Hadees 81_
_*ЁЯУХ Sahih Bukhari Hadees 218*_
_Book Ref. 4, Hadees 84_
_Eng Ref. Vol. 1, Book 4, Hadees 217_
_*ЁЯУХ Sunan Abu Dawud Hadees 20*_
_Book Ref. 1, Hadees 20_
_Eng Ref. Book 1, Hadees 20_
_*ЁЯУХ Jamia Al Tirmizi Hadees 70*_
_Book Ref. 1, Hadees 70_
_Eng Ref. Vol. 1, Book 1, Hadees 70_
_*ЁЯУХ Istinja Ka Tareeqa (Hindi) Maktabatul Madina Hind, Safha 2*_
_*ALLAH Ta'ala Aap Par Fazl Farmaye.!*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
No comments:
Post a Comment