_*Dadhi Ka Bayan*_
―――――――――――――――――――――
_*Ek Musht Se Kam Dadhi Rakhne Wala Shaks Agar Azaan Wa Takbeer Kahe To Uska Kiya Hukm Hai Kiya Uski Azaan Wa Takbeer Maani Jayegi*_
_*✍🏻Jawab:-*_
_*Daari Ko Ek Musht Se Kam Rakhne Wala, Fasiq E Moallin Hai, Aur Ulama E Ahle Sunnat Ka Is Par ittifaq Hai Ki Azan Fasiq Ko Dena Makruh.*_
_*Ise Roka Jaye, Azan Islam Ka Shiar Hai, To (Namaz Ke Waqt) Ke Dakhil Hone Ki ittila Qual Ki Maqbooliyat Ke Liye Zaruri Hai Ki, Qail (Kehne Wala, Murad Azan Kehne Wala) Musalman Aqil, Baligh Aur Aadil Ho, Aur Fasik Ki Khabar Deen Dari Me Etbar Ke Qabil Nahi, Jaisa Ki*_
_*📕 Durr E Mukhtar Jild:1 Safah: 46 Par Hai*_
*ویعاداذان کافر وفاسق*
_*(Yani, Kafir Fasiq Ki Azan Dohrai Jaye)*_
_*📕 Fatawa Razawiyya Jild:5 Safah: 377 Par Hai*_
_*“Agar Fasiq Ne Azan Di To Qana’at Na Karen, Balki Dobarah Musalman Mutaqqi Fir Azan De”*_
_*📕 Bahar E Shariat Jild: 1 Safah: 809 Par Hai*_
_*“Fasiq Chahe Aalim Ho Uski Azan Kehna Makruh Hai”*_
_*Ab Raha Ye Ki Fasiq Ne Azan De Di To Lotana Wajib Hai Ya Nahi, To Baz Ulama Ne Farmaya Ki Inki Azan Dohrana Wajib Hai Magar Sahi Yahi Hai Ki Inki Azan Ka Lotana Wajib Nahi Mustahab Hai, Aur Yahi Durr E Mukhtar Me Hai, Magar Yaad Rahe Jab Fasiq Azan De, To Fir Doosra Koi Azan De, Ye Mustahab Hai, Wajib Nahi, Aur Agar Fir Azan Dene Se Fasad Ka Andesha Hai To Dosri Azan Bina Mic Ke Di Jaye, (Aur Yahi Behtar Hai)*_
_*Jaisa Ki Fatawa Faiz Ur Rasool Jild:1 Safah: 184 Par Fatawa Mustafawiya Ke Wahale Se Hai*_
_*“Fasiq Ki Azan Makru Hai, Magar De To Azan Ho Jayegi,”*_
_*“Aur Ye Jo Upar Jawab Guzra Ki Dohrai Jaye, Iska Matlab Hai, Dohrana Mustahab Hai”.*_
*وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب*
_*🔊 Answared:- Sayyid Muhammad Sikander Warsi Sahab* (Delhi)_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
No comments:
Post a Comment