Wednesday, September 26, 2018



_*⏩SAWAL👇🏻*_
                     _*Bagair Topi Ke Namaz Padhna Kaisa.❓*_

_*⏩JAWAB👇🏻*_
                     _*Topi Pahen Kar Namaz Padhna Huzur (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ki Sunnat Hai.*_

_*🔘 Susti Se Nange Sar Namaz Padhna Yaani Topi Pahenna Bojh Ma'aloom Hota Ho Ya Garmi Ma'aloom Hoti Ho, Makroohe Tanzihi Hai Or Agar Tahqeere Namaz Maqsood Hai, Maslan Namaz Koi Aysi Muhtam Bisshaan Cheez Nahi Jis Ke Liye Topi, Amama Pahna Jaae To Ye Kufr He Or Khushu'a W Khuzu'a Ke Liye Sar Barhana Padhi To Mustahab Hai.*_

*📕 Bahare Shari'at, Hissa 3, Safa 171*
*📕 Fatawa Razviya, Jild 3, Safa 416*

_*Nabi E Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Hamare Aur Yahoodi Ke Amame Me Farq Topi Hai Musalman Topi Par Amama Bandhta Hai Aur Gayr Muslim Bagaer Topi Ke.*_

_*📕 Mishkat Baab Al Qalanswa*_

_*Imam Bukhari Ne Sahih Bukhari Me Topi Ke Naam Ka Baab Likha hai,*_

_*Sahabi E Rasool Hazrat Anas Bin Malik Pile (Yellow) Rang Ki Topi Pahante*_

_*📕 Bukhari Kitab Libas Baab Topiyo Ka Bayan Hadees Number 5802*_

_*Is Baab Me Hi Aysi Hadees NaqaL Ki Jisme Nabi E Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne FarmaYa*_

_*Halat E Ehram Me Topi Na Pahno.*_

_*📕 Bukhari Sharif, Hadees Number 5803*_

_*Iska Mtlab Bger Ehraam Me Sahaba Topi Lagya Karte The. Or Topi Lagana Sahaba Ki Sunnat Hai.*_

_*Topi Islam Ki Nishani Hai Dadhi Aur Topi Hamesha Se Muslim Ki Pahchan Rahi Hai Magar Yahood Ke Agent (Wahabi Deobandi Ahle Hagees) Muslims ko Bagaer Topi Wala Yahood Banane Me Lage Hai'n.*_

_*▶ Khule Sar Namaz Ki Chand Surte Hai👇🏻👇🏻👇🏻*_

_*1) Majburi Ki Halaat Me Bila Kaharat Jaiz Hai*_

_*2) Susti Ki Wajah Se Kisi  Waqt Khule Sar Namaz Padi Jaay To Makrooh E Tanzihi Hai Jiski Wajah Se Sawab Kam Ho Jayga*_

_*3) Khule Sar Namaz Ko Sunnat Bagair Aadat Bana Li Jaay To Makrooh E Tahrimi Hai*_

_*4) Khule Sar Namaz Ko Sunnat Samajh Kar Ada Karna Bi'ddat Hai*_

_*5) Khule Sar Namaz Ko Afzal Wa Sunnat Samajh Na Or Namaz Me Sar Dhakne Ko Bura Janna Kufr Hai*_

_*📕 Fatawa Alamgiri, jild 1, Page 106, Durre Mukhtar, Jild 1, Page 474*_
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━

No comments:

Post a Comment

Al Waziftul Karima 👇🏻👇🏻👇🏻 https://drive.google.com/file/d/1NeA-5FJcBIAjXdTqQB143zIWBbiNDy_e/view?usp=drivesdk 100 Waliye ke wazai...